giitaayan An Interface to ISB

gore\-gore chaa.Nd se mukh par kaalii\-kaalii aa.Nkhe.n hai.n - Anita (1967)  

Lyrics: Aarzoo Lakhnavi | Music: Laxmikant-Pyarelal | Singer(s): Mukesh 
View in Nagari (Hindi)
gore-gore chaa.Nd se mukh par kaalii-kaalii aa.Nkhe.n hai.n dekh ke jinako nii.nd u.D jaa_e vo matavaalii aa.Nkhe.n hai.n gore-gore chaa.Nd se ... mu.Nh se pallaa kyaa sarakaanaa is baadal me.n bijalii hai ( duur hii rahanaa ) -2 inase qayaamat Dhaane vaalii aa.Nkhe.n hai.n gore-gore chaa.Nd se ... be jinake a.ndher hai sab kuchh aisii baat hai iname.n kyaa ( aa.Nkhe.n-aa.Nkhe.n ) -3 sab hai.n baraabar kaun niraalii aa.Nkhe.n hai.n gore-gore chaa.Nd se ... be dekhe aaraam nahii.n hai dekho to dil kaa chain gayaa ( dekhane vaale ) -3 yuu.N kahate hai.n kyaa bholii-bhaalii aa.Nkhe.n hai.n gore-gore chaa.Nd se ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.