giitaayan An Interface to ISB

o tere naino.n ke mai.n diip jalaa_uu.Ngaa - Anuraag (1972)  

Lyrics: Anand Bakshi | Music: S D Burman | Singer(s): Rafi, Lata 
View in Nagari (Hindi)
ra : o tere naino.n ke mai.n diip jalaa_uu.Ngaa apanii aa.Nkho.n se duniyaa dikhalaa_uu.Ngaa tere naino.n ke ... la : achchhaa vo kyaa hai ra : ek mandir hai la : us mandir me.n ra : ek muurat hai la : ye muurat kaisii hotii hai ra : terii suurat jaisii hotii hai la : vo kyaa hai mai.n kyaa jaanuu.N chhaa.Nv hai kyaa aur dhuup hai kyaa ra.ng-bira.ngii is duniyaa kaa ruup hai kyaa vo kyaa hai ra : ek parvat hai la : us parvat pe ra : ek baadal hai la : ye baadal kaisaa hotaa hai ra : tere aa.Nchal jaisaa hotaa hai la : vo kyaa hai ra : mast havaa ne ghuu.NghaT kholaa kaliyo.n kaa jhuum ke mausam aayaa hai ra.ng-raliyo.n kaa la : vo kyaa hai ra : ek bagiyaa hai la : us bagiyaa me.n ra : ka_ii bha.Nvare hai la : bha.Nvare kyaa rogii hote hai.n ra : nahii.n dil ke rogii hote hai.n la : aisii bhii anjaan nahii.n mai.n ab sajanaa bin dekhe mujhako dikhataa hai sab sajanaa ra : achchhaa to vo kyaa hai la : vo saagar hai ra : us saagar me.n la : ik naiyaa hai ra : are tuune kaise jaan liyaa la : man kii aa.Nkho.n se naam liyaa vo kyaa hai
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.