zo : u.Dan-khaTole pe u.D jaa_uu.N
tere haath naa aa_uu.N
haa.N aa.N aa.N
tere haath naa aa_uu.N
sha : u.Dan-khaTole pe u.D jaa_uu.N
tere haath naa aa_uu.N
haa.N aa.N aa.N
tere haath naa aa_uu.N
duur-duur se karuu.N ishaare
aur tujhako tarasaa_uu.N
chandaa kii khi.Dakii se jhaakuu.N
jhaakuu.N aur chhip jaa_uu.N
do : u.Dan-khaTole pe u.D jaa_uu.N
tere haath naa aa_uu.N
haa.N aa.N aa.N
tere haath naa aa_uu.N
zo : ho o o o
aaye.n
aaye.n aur Guzaratii jaaye.n
lambii-uu.Nchii-niichii raahe.n
galiyaa.N aur baazaar
haa.N aa.N aa.N
galiyaa.N aur baazaar
meraa pa_iyaa
meraa pa_iyaa aise bhaage
jaise moTar-kaar
do : bhaage sab sansaar -2
sha : suuraj bhaage chandaa bhaage
andhiyaaraa ujiyaaraa bhaage
dharatii dau.De piichhe ko
mai.n aage ba.Dhatii jaa_uu.N
zo : teraa haath paka.D ke tujhako
duur kahii.n le jaa_uu.N
sha : mai.n phir bhii haath na aa_uu.N
phir bhii haath na aa_uu.N
do : u.Dan-khaTole pe u.D jaa_uu.N
tere haath naa aa_uu.N
haa.N aa.N aa.N
tere haath naa aa_uu.N
|