giitaayan An Interface to ISB

o paradesii ghar aa jaa more saajan more raajaa - Apna Paraya (1942)  

Lyrics: Pt Indra | Music: Anil Biswas | Singer(s): Rajkumari 
View in Nagari (Hindi)
o paradesii ghar aa jaa -2 more saajan more raajaa -2 o paradesii ghar aa jaa ( ghar me.n tere mausam aayaa aur tujhe sabane samajhaayaa ) -2 taras nahii.n (?) hai birahan kaa ra.ng ( taras nahii.n hai birahan kaa ra.ng saawan ban kar chhaa jaa paradesii ghar aa jaa ) -2 o paradesii ghar aa jaa -2 ( kaliyaa.N ho ga_ii.n phuul kanerii (?) kaliyaa.N ho ga_ii.n phuul ) -2 ( dekh zaraa aa kar niramohii kaliyaa.N ho ga_ii.n phuul ) -2 joban ruuThaa jaaye balamawaa ( joban ruuThaa jaaye balamawaa ab to ise manaa jaa paradesii ghar aa jaa ) -2 o paradesii ghar aa jaa -2 more saajan more raajaa -2 o paradesii ghar aa jaa -2
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.