giitaayan An Interface to ISB

lab-e-khaamosh se afshaa hogaa - (Non-Film)  

Lyrics: Ahmed Nadeem Qasmi | Music:  | Singer(s): Feroz Akhtar 
View in Nagari (Hindi)
ye maukaa hai apane khaas-e-yaar ko khush karane kaa ... ise suniye to aashik gaa rahe hai.n lekin mahabuubaa bhI gaa sakatii hai (kuchh ##editing##ke baad:) kyU.Nke agar la.Dakiyaa.n khaas-o-khaas ho sakatii hai.n to la.Dake bhI koi khaas-e-aam nahii.n. Thiik kah rahI huu.N na? ham aapake liye khaas, aap hamaare liye khaas ye baat aur hai ke aap bayaan kar dete hai.n aur ham nahii hrule (lab-e-khaamosh se afshaa hogaa raaz har ra.ng me.n rusavaa hogaa ) - 2 kis tavvaako pe kisii ko dekhe.n - 2 koI tumasA bhI hasiin kyA hogaa - 3 jis bhI fanakaar kA shahakaar ho tum - 2 usane sadiyo.n tumhe.n sochaa hogaa - 2 raaz har ra.ng me.n rusavaa hogaa lab-e-khamosh se afshaa hogaa ziinat-e-ghalakaaye aagosh bano - 2 dUr baiThoge to charchaa hogaa lab-e-khamosh se afshaa hogaa raaz har ra.ng me.n rusavaa hogaa sArI duniyA hame.n pahachaanatii hai - 2 koI hamasaa bhI nA tanhaa hogaa - 2 (lab-e-khamosh se afshaa hogaa raaz har ra.ng me.n rusavaa hogaa ) - 2
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.