giitaayan An Interface to ISB

sa.ndese aate hai.n ... ki ghar kab aa_oge - Border (1997)  

Lyrics: Javed Akhtar | Music: Annu Malik | Singer(s): Sonu Nigam, Roop Kumar Rathod 
View in Nagari (Hindi)
sa.ndese aate hai.n hame.n ta.Dapaate hai.n jo chiTThii aatii hai vo puuchhe jaatii hai ki ghar kab aa_oge likho kab aa_oge ki tum bin ye ghar suunaa suunaa hai kisii dilavaalii ne kisii matavaalii ne hame.n khat likhaa hai ye hamase puuchhaa hai kisii kii saa.Nso.n ne kisii kii dha.Dakan ne kisii kii chuu.Dii ne kisii ke ka.ngan ne kisii ke kajare ne kisii ke gajare ne mahakatii subaho.n ne machalatii shaamo.n ne akelii raato.n me.n adhuurii baato.n ne tarasatii baaho.n ne aur puuchhaa hai tarasii nigaaho.n ne ki ghar kab aa_oge likho kab aa_oge ki tum bin ye dil suunaa suunaa hai sa.ndese aate hai.n ... muhabbat vaalo.n ne hamaare yaaro.n ne hame.n ye likhaa hai ki hamase puuchhaa hai hamaare gaa.nvo.n ne aam kii chhaa.nvo.n ne puraane piipal ne barasate baadal ne khet khaliyaano.n ne hare maidaano.n ne basantii melo.n ne jhuumatii belo.n ne lachakate jhuulo.n ne dahakate phuulo.n ne chaTakatii kaliyo.n ne aur puuchhaa hai gaa.nv kii galiyo.n ne ki ghar kab aa_oge likho kab aa_oge ki tum bin gaa.nv suunaa suunaa hai sa.ndese aate hai.n ... kabhii ek mamataa kii pyaar kii ga.ngaa kii jo chiTThii aatii hai saath vo laatii hai mere din bachapan ke khel vo aa.ngan ke vo saayaa aa.nchal kaa vo Tiikaa kaajal kaa vo lorii raato.n me.n vo naramii haatho.n me.n vo chaahat aa.Nkho.n me.n ve chi.ntaa baato.n me.n biga.Danaa uupar se muhabbat a.ndar se kare vo devii maa.N yahii har khet me.n puuchhe merii maa.N ki ghar kab aa_oge ki tum bin aa.ngan suunaa suunaa hai ai gujarane vaalii havaa bataa meraa itanaa kaam karegii kyaa mere gaa.nv jaa mere dosto.n ko salaam de mere gaa.nv me.n hai jo vo galii jahaa.n rahatii hai merii dilarubaa use mere pyaar kaa jaam de vahaa.n tho.Dii duur hai ghar meraa mere ghar me.n hai merii buu.Dhii maa.N merii maa.N ke pairo.n ko chhuu use usake beTe kaa naam de ai gujarane vaalii havaa zaraa mere dosto.n merii dilarubaa merii maa.N ko meraa payaam de unhe.n jaa ke tuu ye payaam de mai.n vaapas aa_uu.ngaa phir apane gaa.nv me.n usii kii chhaa.nv me.n ki maa.N ke aa.Nchal se gaa.nv kii piipal se kisii ke kaajal se kiyaa jo vaadaa hai vo nibhaa_uu.ngaa mai.n ek din aa_uu.ngaa
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.