giitaayan An Interface to ISB

laka.Dii jal koyalaa ... ko_ii aa.Nsuu pii kar ... bedard zamaanaa - Bedard Zamaanaa Kyaa Jaane (1959)  

Lyrics: Bharat Vyas | Music: Kalyanji-Anandji | Singer(s): Rafi 
View in Nagari (Hindi)
laka.Dii jal koyalaa bha_ii koyalaa jal bhayo raakh mai.n paapin aisii jalii koyalaa bha_ii naa raakh ko_ii aa.Nsuu pii kar jiitaa hai ko_ii TuuTe dil ko siitaa hai kahii.n shaam Dhale kahii.n chitaa jale kahii.n Gam se ta.Dapate diivaane bedard zamaanaa kyaa jaane -2 o maalik teraa kaisaa aalam yahaa.N ek Kushii to laakh hai.n Gam baaraat kahii.n to kahii.n maatam qismat ke anokhe afasaane bedard zamaanaa kyaa ... kaa.Np uThaa si.nduur maa.Ng kaa vo suhaagan kii raat Dhalii raanii ban kar aa_ii thii vo aaj bhikhaarin ban ke chalii chhuuTaa hai ghar jaa_e kidhar apane bhii hu_e begaane bedard zamaanaa kyaa ... us shaam kaa hogaa saveraa kahaa.N ye pa.nchhii legaa baseraa kahaa.N ye pavan hai agan aur garazataa gagan dharatii bhii lagii ab Thukaraane bedard zamaanaa kyaa ... zaalim ko apane zulmo.n kii hotii kabhii pahachaan bhii hai insaan terii aa.Nkho.n me.n bhagavaan bhii hai shaitaan bhii hai kashtii se kinaaraa ruuTh gayaa ye dhakelatii hai lahar aur aage saayaa bhii nahii.n ab pahachaane bedard zamaanaa kyaa ... chi.ngaarii se chi.ngaarii jale aur aag se aag sulagatii hai ye baat saraasar sachchii hai ki choT se choT lagatii hai jin haatho.n me.n motiyo.n kii la.Diyaa.N unme.n pa.Dii hai.n hathaka.Diyaa.N apanaa hii bhaag lagaa hai aag lagaane bedard zamaanaa kyaa ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.