giitaayan An Interface to ISB

meraa naam abdul rahamaan pistaa vaalaa - Bhaai Bhaai (1956)  

Lyrics: Rajinder Krishan | Music: Madan Mohan | Singer(s): Kishore, Lata 
View in Nagari (Hindi)
ki : meraa naam abdul rahamaan pistaa vaalaa mai.n huu.N paThaan khaane vaale kaa dil hotaa gul-gul vaah re vaah-vaah lo jii bhaa_ii saahab hamaaraa pistaa bahut achchhaa lo jii mem saahab hamaaraa pistaa bahut achchhaa khaa ke dekho ##very very good## meraa chaaralii baadaam pistaa la : abdul rahamaan kii mai.n abdul rahamaniyaa yahii meraa sonaa-chaa.Ndii yahii merii duniyaa Kush huu.N mai.n chaahe mujhe rakhe jis haal me.n ba.ngale me.n koThii me.n yaa TuuTii-phuuTii chaal me.n chaa.Nd hai ye meraa mai.n huu.N isakii cha.ndaniyaa hinduu khaa_e muslim khaa_e khaa_e sikh iisaa_ii meraa pistaa khaane vaale hindii bhaa_ii-bhaa_ii ma.ndir ho maszid ho yaa sikho.n kaa gurudvaaraa sabako allaah kaa ghar samajhe kaabul kaa banjaaraa ki : lo bhaa_ii pistaa lo baadaam achchhaa maal aur sastaa daam apanii jaanii duniyaa faanii baaqii hai allaah kaa naam meraa naam abdul rahamaan ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.