giitaayan An Interface to ISB

kahanaa hai aaj tujhase phir kisii se ye kahanaa nahii.n - Chori Chori (2002)  

Lyrics: Anand Bakshi | Music: Sajid-Wajid | Singer(s): Alka Yagnik, Kumar Sanu 
View in Nagari (Hindi)
kahanaa hai aaj tujhase phir kisii se ye kahanaa nahii.n o rahanaa hai saath tere varanaa duniyaa me.n rahanaa nahii.n pyaar karate hamako jiinaa pyaar karate hamako maranaa Gam judaa_ii kaa sahanaa nahii.n ho o kahanaa hai aaj ... duniyaa se Daranaa nahii.n yaa pyaar karanaa nahii.n nazare.n churaa ke sanam hamako guzaranaa nahii.n Duubanaa hai saahilo.n par jhuumanaa hai ma.nzilo.n par yuu.N dariyaa me.n bahanaa nahii.n ho o kahanaa hai aaj ... mausam kii a.ng.Daa_iyaa.n duniyaa kii rusavaa_iyaa.n zi.ndagii ne phuul baa.NTe chun li_e hai.n hamane kaa.NTe haar phuulo.n kaa pahanaa nahii.n ho o kahanaa hai aaj ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.