giitaayan An Interface to ISB

maanaa terii nazar me.n teraa pyaar ham nahii.n - Aahistaa Aahistaa (1981)  

Lyrics: Naqsh Lyallpuri | Music: Khayyam | Singer(s): Sulakshna Pandit 
View in Nagari (Hindi)
maanaa terii nazar me.n teraa pyaar ham nahii.n kaise kahe.n ke tere talabaGaar ham nahii.n tan ko jaalaake raaKh banaayaa, bichhaa diyaa lo ab tumhaarii raah me.n diivaar ham nahii.n sii.nchaa thaa jisako hamane tamanna ke khoon se chaman me.n us bahaar ke haqadaar ham nahii.n dhokha diyaa hai khud ko mohabbat ke naam par ye kis tarah kahe.n ke gunehagaar ham nahi.n
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.