giitaayan An Interface to ISB

machalatii huii havaa me.n chham chham - Ganga Ki Lahren (1964)  

Lyrics: Majrooh | Music: Chitragupt | Singer(s): Kishore, Lata 
View in Nagari (Hindi)
la: aa aa aa, aa aa ki: o ho ho, ho ho (machalatii huii, havaa me.n chham chham hamaare sa.ng sa.ng chale.n ga.Ngaa kii lahare.n) - 2 la: o, zamaane se kaho, akele nahii.n ham hamaare sa.ng sa.ng chale.n ga.Ngaa kii lahare.n koras: zamaane se kaho ... ki: (hariyaalii sii, chhaa jaatii hai chhaa.Nv me.n in ke aa.Nchal kii) - 2 la: sar ko jhukaa ke, naam lo in ke ye to hai shaktii nirabal kii himaalay ne bhii chuume hai.n in ke qadam koras: machalatii huii, ... zamaane se kaho ... la: (sukh me.n Duubaa, tan man us kaa aayaa jo in ke aa.Ngan me.n) - 2 ki: pyaar kaa pahalaa, darpan dekhaa duniyaa ne in ke darshan me.n ke yuu.N hii nahii.n khaate ham in kii qasam koras: zamaane se kaho ... machalatii huii ... ki: (saath diyaa hai, in laharo.n ne jab sab ne mu.Nh pher liyaa) - 2 la: aur kabhii jab, Gam kii jalatii dhuup ne ham ko gher liyaa to aao in ke hii qadamo.n me.n jhuk jaae.n ham koras: machalatii huii ... zamaane se kaho ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.