giitaayan An Interface to ISB

ik chamelii ke ma.NDave tale - Cha Cha Cha (1964)  

Lyrics: Makhdoom Mohinuddin | Music: Iqbal Qureshi | Singer(s): Rafi, Asha 
View in Nagari (Hindi)
do : ik chamelii ke ma.NDave tale -2 maikade se zaraa duur us mo.D par -2 do badan pyaar kii aag me.n jal ga_e ik chamelii ke ... ra : pyaar harf-e-vafaa pyaar unakaa Kudaa -2 pyaar unakii chitaa do : do badan pyaar kii ... % harf-e-vafaa: Harf = letter (of alphabet), haruuf, akshar/ axar os me.n bhiigate chaa.Ndanii me.n nahaate hu_e -2 jaise do taazaa-ru taazaa-dam phuul pichhale pahar -2 Tha.nDii Tha.nDii subuk rau chaman kii havaa -2 sarf-e-maatam hu_ii -3 ra : kaalii-kaalii laTo.n se lipaT garm ruKasaar par ek pal ke li_e ruk ga_ii do : do badan pyaar kii ... % subuk : slow, dhiire; rau: speed; subuk rau havaa: wind flowly softly. % sarf-e-maatam: to be spent in mourning o hamane dekhaa unhe.n din me.n aur raat me.n nuur-o-zulmaat me.n -2 ra : masjido.n ke minaaro.n ne dekhaa unhe.n aa : ma.ndiro.n ke kivaa.Do.n ne dekhaa unhe.n aa : maikade kii daraa.Do.n ne ( dekhaa unhe.n ) -3 do : do badan pyaar kii ... ye bataa chaaraagar terii ( za.mbiil me.n ) -2 ra : nusKaa-e-kiimiyaa-e-muhabbat bhii hai aa : nusKaa-e ... ra : kuchh ilaaj-o-mudaavaa-e- ( ulfat bhii hai ) -2 do : do badan pyaar kii ... % nusKaa: formula, kiimiyaa: chemical, % nusKaa-e-kiimiyaa-e-muhabbat: formula of chemical of love % ilaaj-o-mudaavaa-e-ulfat: cure for (the illness of ) love
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.