ra : ( ek Daal par totaa bole ) -2 ek Daal par mainaa
duur-duur baiThe hai.n lekin pyaar to phir bhii hai naa
bolo hai naa hai naa hai naa
la : o o o o ek Daal par totaa bole ek Daal par mainaa
mai.n tere naino.n kii ni.ndiyaa tuu mere dil kaa chainaa
bolo hai naa hai naa hai naa
do : ek Daal par totaa bole
la : ye kyaa mujhako ho gayaa saajan kabhii ro_uu.N kabhii gaa_uu.N
pe.D se lipatii bel jo dekhuu.N laaj se mar-mar jaa_uu.N
ra : ye paagalapan kaisaa kab se ho gayaa aisaa
la : bin batalaa_e samajho saajan aaj nahii.n kuchh kahanaa
bolo hai naa hai naa hai naa
do : ek Daal par totaa bole ...
ra : aa.Ndhii aa_e tuufaa.N aa_e yaa barase.n barasaate.n
ik duuje ke ho jaa_e.n ham Katm na ho din-raate.n
la : ( Katm na ho din-raate.n ) -2 ( miiThii pyaar kii baate.n ) -2
ra : ho.nTh agar Kaamosh rahe.n to bol uThe.nge nainaa
bolo hai naa hai naa hai naa
do : ek Daal par totaa bole ...
la : janam-janam kii pyaas re saajan pal me.n bujhegii kaise
jiivan bhar ye sa.ng na chhuuTe a.ng lagaa lo aise
ra : aa mil jaa_e.N aise saagar nadiyaa jaise
do : siikh liyaa hai pyaar me.n hamane miTakar zindaa rahanaa
bolo hai naa hai naa hai naa
ek Daal par totaa bole ...
|