giitaayan An Interface to ISB

simaTii hu_ii ye gha.Diyaa.N phir se na bikhar jaaye.N - Chambal Ki Kasam (1979)  

Lyrics: Sahir | Music: Khayyam | Singer(s): Rafi, Lata 
View in Nagari (Hindi)
la : simaTii hu_ii ye gha.Diyaa.N phir se na bikhar jaaye.N -2 ra : is raat me.n jii le.n ham is raat me.n mar jaaye.N do : is raat me.n mar jaaye.N simaTii hu_ii ye gha.Diyaa.N ra : ab subahaa na aa paaye la : aa_o ye du_aa maa.Nge.n ab subahaa na aa paaye ra : aa_o ye du_aa maa.Nge.n la : is raat ke har pal se raate.n hii ubhar jaaye.N do : raate.n hii ubhar jaaye.N simaTii hu_ii ye gha.Diyaa.N la : duniyaa kii nigaahe.n ab ham tak na pahu.Nch paaye.N ra : duniyaa kii nigaahe.n ab ham tak na pahu.Nch paaye.N la : taaro.n me.n base.n chalakar ra : dharatii pe utar jaaye.N do : dharatii pe utar jaaye.N simaTii hu_ii ye gha.Diyaa.N la : ( haalaat ke tiiro.n se chhalanii hai.n badan apane ) -2 ra : paas aa_o ke siino.n ke kuchh zaKm to bhar jaaye.N -2 do : simaTii hu_ii ye gha.Diyaa.N ra : aage bhii andheraa hai la : piichhe bhii andheraa hai aage bhii andheraa hai ra : piichhe bhii andheraa hai do : apanii hai.n wohii saa.Nse.n jo saath guzar jaaye.N -2 simaTii hu_ii ye gha.Diyaa.N la : aa aa aa huu.N huu.N huu.N ye gha.Diyaa.N phir se huu.N huu.N huu.N simaTii hu_ii huu.N huu.N huu.N ( bichha.Dii hu_ii ruuho.n kaa ye mel suhaanaa hai ) -2 ra : is mel kaa kuchh ahasaa.N jisamo.n pe bhii kar jaaye.N do : jisamo.n pe bhii kar jaaye.N simaTii hu_ii ye gha.Diyaa.N la : tarase huye jazabo.n ko ab aur na tarasaa_o ra : tarase huye jazabo.n ko do : ab aur na tarasaa_o ra : tum shaane pe sar rakh do la : ham baa.Nho.n me.n bhar jaaye.N -2 do : simaTii hu_ii ye gha.Diyaa.N
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.