giitaayan An Interface to ISB

milane kii tum koshish karanaa ... vaadaa to TuuT jaataa hai - Dil Kaa Kyaa Qasoor (1992)  

Lyrics: Madan Pal | Music: Nadeem-Shravan | Singer(s): Kumar Sanu, Asha 
View in Nagari (Hindi)
milane kii tum koshish karanaa vaadaa kabhii na karanaa vaadaa to TuuT jaataa hai milane kii tum koshish ... jab bhii teraa jii chaahe tuu paas mere aa jaanaa meraa pyaar bas tere li_e hai tuu na kabhii ghabaraanaa lekin sapano.n me.n milane kii kabhii na koshish karanaa sapanaa to TuuT jaataa hai hotii hai.n bedard bahut hii is duniyaa kii rasme.n mushkil kar detii hai.n nibhaanaa pyaar vafaa kii kasame.n shiishe jaise aramaa.n lekar raaho.n se na guzaranaa shiishaa to TuuT jaataa hai milane kii tum koshish ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.