giitaayan An Interface to ISB

deke lahuu apanii mamataa kaa ... merii maa.N mujhako bhagavaan lage - Dancer (1991)  

Lyrics: Sameer | Music: Anand-Milind | Singer(s): Sadhana Sargam, Udit Narayan, S P Balasubramaniam 
View in Nagari (Hindi)
deke lahuu apanii mamataa kaa tuune mujhe paalaa har pal mere duHkh pe aake sukh kaa aa.nchal Daalaa kabhii ma.ndir kabhii puujaa kabhii puujaa kaa varadaan lage merii maa.N mujhako bhagavaan lage kabhii tulasii kii raamaayaN kabhii giitaa kaa GYaan lage merii maa.N mujhako ... maa.N terii aa.Nkho.n se barase amR^it kii dhaaraa teraa pyaar to lagataa hai saarii duniyaa se nyaaraa kabhii sukh kii bahatii ga.ngaa kabhii karuNaa kii pahachaan lage merii maa.N mujhako ... mere to ho.nTho.n pe hai maa.N bas naam teraa in charaNo.n kii miTTii me.n hii biite jiivan meraa merii maa.N kii pavan muurat mujhe jag me.n sabase mahaan lage merii maa.N mujhako ... bachcho.n ke sukh me.n so_e bachcho.n ke duHkh me.n jaage kisii chiiz kaa mol na ko_ii maa.N kii mamataa ke aage kabhii pe.D kii Tha.nDii chhaayaa kabhii sneh bharii muskaan lage merii maa.N mujhako ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.