giitaayan An Interface to ISB

mai.n ne chaa.Nd aur sitaaro.n kii tamannaa kii thii - Chandrakaantaa (1956)  

Lyrics: Sahir | Music: N Dutta | Singer(s): Rafi 
View in Nagari (Hindi)
(mai.n ne chaa.Nd aur sitaaro.n kii tamannaa kii thii mujhako raato.n kii siyaahii ke sivaa kuchh na milaa ) - 2 mai.n ne chaa.Nd sitaaro.n ... mai.n vo naGamaa huu.N jise pyaar kii mahafil na milii vo musaafir huu.N jise koii bhii manzil na milii zakhm paae.n hai.n bahaaro.n kii tamannaa kii thii mai.n ne chaa.Nd sitaaro.n ... kisii gesuu kisii aa.Nchal kaa sahaaraa bhii nahii.n raaste me.n koii dhu.Ndhalaa saa sitaaraa bhii nahii.n merii nazaro.n ne nazaaro.n kii tamannaa kii thii mai.n ne chaa.Nd sitaaro.n ... merii raaho.n se judaa ho gaI raahe.n unakii aaj badalii nazar aatii hai.n nigaahe.n unakii jisase is dil ne sahaaro.n kii tamannaa kii thii mai.n ne chaa.Nd sitaaro.n ... pyaar maa.Ngaa to sisakate hue aramaan mile chain chaahaa to uma.Date hue tuufaan mile Duubate dil ne kinaaro.n kii tamannaa kii thii mai.n ne chaa.Nd sitaaro.n ... dil me.n naakaam ummido.n ke basere paaye roshanii lene ko nikalaa to a.ndhere paaye ra.ng aur nuur ke dhaaro.n kii tamannaa kii thii mai.n ne chaa.Nd aur sitaaro.n ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.