giitaayan An Interface to ISB

kal kisane dekhaa kal aa_e naa aa_e ... duur jaa_o na tum paas aane do - Deshwaasi (1989)  

Lyrics: Anand Bakshi | Music: Laxmikant-Pyarelal | Singer(s): Anuradha Paudwal, Nitin Mukesh 
View in Nagari (Hindi)
kal kisane dekhaa kal aa_e naa aa_e phir terii zulfo.n ke mile.n naa saa_e aaj hotaa hai jo ho jaane do duur jaa_o na tum paas aane do kal kisane dekhaa ... ye raat ham dono.n ko barbaad kar jaa_egii chaaro.n taraf duur tak kal ye khabar jaa_egii shahar kii galiyo.n me.n charche ho.nge pyaar me.n miT ga_e diivaane do duur jaa_o na ... kuchh bhii karo kuchh karo kuchh to badan garm ho ho paka.Do naa aa.nchal meraa tum kitane besharm ho jaan hai mushkil me.n tum socho ye dil me.n pal do pal ham hai.n pal do pal bhii kyaa kam hai.n laT ulajhii hu_ii hai sulajhaane do duur jaa_o na ... ho lagatii hai sardii mujhe baahe.n merii thaam lo apanii muhabbat se tum ab aag kaa kaam lo ab to maranaa hai phir kisase Daranaa hai chho.Do rasmo.n ko to.Do kasamo.n ko ghuu.nghaT laaj kaa uTh jaane do duur jaa_o na ... phir terii palako.n ke mile.n naa saa_e aaj hotaa hai jo ho jaane do
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.