giitaayan An Interface to ISB

dekh liyaa maine qisamat kaa tamaashaa dekh liyaa - Deedaar (1951)  

Lyrics: Shakeel | Music: Naushad | Singer(s): Rafi, Lata 
View in Nagari (Hindi)
ra : dekh liyaa maine qisamat kaa tamaashaa dekh liyaa ik aaG bujhii ik aaG lagii aa.Nkho.n ne merii kyaa dekh liyaa la : dekh liyaa maine saajan teraa vaadaa dekh liyaa rasate pe huu.N mai.n ma.nzil pe hai tuu ye pyaar kaa naataa dekh liyaa dekh liyaa maine ra : aayaa mai.n kisii kii mahafil me.n mahafil me.n tuufaan liye laakho.n dil me.n milakar bhii rahaa mai.n mushkil me.n milane kaa natiijaa dekh liyaa ik aaG bujhii ik aaG lagii aa.Nkho.n ne merii kyaa dekh liyaa dekh liyaa maine la : chhupate hii tere o chaa.Nd mere o chaa.Nd mere suuraj bhii na nikalaa aa.Ngan me.n phir Gam kii a.Ndherii raat hu_ii do din kaa ujaalaa dekh liyaa rasate pe huu.N mai.n ma.nzil pe hai tuu ye pyaar kaa naataa dekh liyaa dekh liyaa maine dekh liyaa maine saajan teraa vaadaa dekh liyaa ra : dekh liyaa maine qisamat kaa tamaashaa dekh liyaa
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.