giitaayan An Interface to ISB

mai.n piyaa terii tuu maane yaa na maane - Basant Bahaar (1956)  

Lyrics: Hasrat | Music: Shankar-Jaikishan | Singer(s): Lata 
View in Nagari (Hindi)
mai.n piyaa terii tuu maane yaa na maane duniyaa jaane tuu jaane yaa na jaane kaaheko bajaae tuu miiThii miiThii taane.n mai.n piyaa terii tuu maane yaa na maane muralii kii lay ne dil meraa chhiinaa taar jagaae dilake taar jagaae raah bikhere jab tere dil ne raag uThaae mai.nne raag uThaae miTane na duu.Ngii, pyaar ke sagaane mai.n piyaa terii... priit kii Dorii tum sa.ng baa.Ndhii tum sa.ng baa.Ndhii sai.nyaa tum sa.ng bujhane na duu.Ngii priit kaa diipak kitanii bhii aaye sai.nyaa duniyaa kii aa.Ndhii mai.n nahii.n badalii, badale zamaanaa mai.n piyaa terii ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.