khoyaa-khoyaa chandaa kho_e-kho_e taare
so ga_e tuu bhii so jaa chaa.Nd hamaare -2
khoyaa-khoyaa chandaa ...
o o leke jaaduu kii chha.Dii aa_ii sapano.n kii parii
ruup-nagarii me.n tujhe chho.D aa_egii abhii
hai vo sapano.n kaa jahaa.N ik melaa hai vahaa.N
des-parades ke bachche chale vahaa.N
niile aakaash kii ga.ngaa ke kinaare
khoyaa-khoyaa chandaa ...
jhuulaa chaa.Ndii kaa pa.Daa hiire-panno.n se ja.Daa
reshamii Dor ba.Ndhii jhuulegaa laal meraa
jab bhii tuu pii.ng bhare jaa ke baadal ko chhu_e
chhuule bijalii ko to vo khilakhilaa pa.De
aur chhup jaa_e kahii.n laaj ke maare
khoyaa-khoyaa chandaa ...
kahii.n ko_ii giit gaa_e ko_ii ba.nshii bajaa_e
aur ko_ii Dhol li_e dhin-dhin tak sunaa_e
sab pe ik ra.ng pa.De ko_ii bhii bach na sake
pyaar aur milaap kaa gulaal yuu.N u.De
hil-mil ke ko_ii jiite ko_ii haare
khoyaa-khoyaa chandaa ...
|