giitaayan An Interface to ISB

mai.n tumhii se puuchhatii huu.N - Black Cat (1959)  

Lyrics: Jaan Nisar Akhtar | Music: N Dutta | Singer(s): Lata, Rafi 
View in Nagari (Hindi)
##prelude:## lataa: koii iqaraar kare, yaakoii inakaar kare ham se ek baar, nigaahe.n to zaraa chaar kare rafii: tum hasii.n ho tumhe.n sab dil me.n jagah dete hai.n ham me.n kyaa baat hai, aisii jo koii pyaar kare lataa: (mai.n tumhii se puuchhatii huu.N, mujhe tum se pyaar kyo.n hai kabhii tum daGaa na doge, mujhe aitabaar kyo.n hai) -2 mai.n tumhii se puuchhatii huu.N mujhe kyo.n pukaaratii hai.n, ye javaa.n javaa.n fizaae.n mujhe mil ga_ii kahaa.N se, ye hasii.n hasii.n adaae.n ye hasii.n hasii.n adaae.n mere zi.ndagii pe chhaaii, ye na_ii bahaar kyo.n hai mai.n tumhii se puuchhatii huu.N, mujhe tum se pyaar kyo.n hai kabhii tum daGaa na doge, mujhe aitabaar kyo.n hai mai.n tumhii se puuchhatii huu.N jo qadam uThaa rahii huu.N, vo qadam bahak rahaa hai mile tum se kyaa nigaahe.n, meraa dil dha.Dak rahaa hai meraa dil dha.Dak rahaa hai mere dil pe haath rakh do, tumhe i.ntazaar kyo.n hai mai.n tumhii se puuchhatii huu.N, mujhe tum se pyaar kyo.n hai kabhii tum daGaa na doge, mujhe aitabaar kyo.n hai mai.n tumhii se puuchhatii huu.N tumhii.n saamane ho mere, mai.n jidhar nazar uThaauu.N tumhe.n bhuulanaa bhii chaahuu.N, to kabhii na bhuul paauu.N to kabhii na bhuul paauu.N mere dil pe haay itanaa tumhe iKtiyaar kyo.n hai mai.n tumhii se puuchhatii huu.N, mujhe tum se pyaar kyo.n hai kabhii tum daGaa na doge, mujhe aitabaar kyo.n hai mai.n tumhii se puuchhatii huu.N
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.