giitaayan An Interface to ISB

mai.n raajaa tuu raanii - Dildaar (1977)  

Lyrics: Anand Bakshi | Music: Laxmikant-Pyarelal | Singer(s): Kishore, Asha 
View in Nagari (Hindi)
mai.n raajaa tuu raanii tuu raajaa mai.n raanii mai.n premanagar kaa raajaa tuu ruupanagar kii raanii rahe na duniyaa rahegii terii-merii kahaanii mai.n raajaa tuu ... kab se dharatii ambar jhuum rahaa hai jaane raahii na_e hai.n raaste sadiyo.n puraane ye hii hai merii priit jo priitam sabase puraanii mai.n raajaa tuu ... khilane kaa jinako aramaan hotaa hai har us kalii pe ye Gumaan hotaa hai tere-mere pyaar kii hai ye ko_ii nishaanii mai.n raajaa tuu ... kaun se chaa.Nd-sitaare ham jaane kaun hai.n kis nadiyaa ke dhaare ham jaane kaun hai.n jo bhii hai.n ik jaan hai.n dono.n ek zindagaanii mai.n raajaa tuu ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.