giitaayan An Interface to ISB

ek raajaa hai ek raanii hai ... aur kyaa zi.ndagaanii hai - Ek Rishtaa (2001)  

Lyrics: Sameer | Music: Nadeem-Shravan | Singer(s): Mohammed Aziz, Anuradha Paudwal, Sarika Kapoor, Milind/ Mohammed Aziz 
View in Nagari (Hindi)
%Part 1: % ek raajaa hai ek raanii hai paas paisaa hai aur javaanii hai aur kyaa zi.ndagaanii hai sab nasiibo.n kii ye kahaanii hai terii chaahat kii sab nishaanii hai aur kyaa zi.ndagaanii hai ghar hai ek ma.ndir tum mere devataa ho maine rab se maa.ngii vahii tum du_aa ho kaun hame.n duniyaa me.n itanaa pyaar degaa itanii khushii aur aisaa sa.nsaar degaa mujhe rahanaa hai inhii.n charaNo.n me.n umr baaho.n me.n yuu.N bitaanii hai aur kyaa zi.ndagaanii hai aisii apanii dostii hai aisaa dostaanaa yaad rakhegaa hamako saaraa zamaanaa dostii pe bilkul na karanaa bharosaa dost banake dete hai.n log yahaa.N dhokhaa dostii ham naa kabhii to.De.nge aaj hamane ye dil me.n Thaanii hai aur kyaa zi.ndagaanii hai aise gulashan to bahaaro.n me.n khilaa karate hai.n aise maa.N baap nasiibo.n se milaa karate hai.n maine har roj du_aa maa.ngii hai terii khaatir meraa har khvaab ban gayaa hai hakiikat aakhir in rishto.n ko ham nibhaa_e.nge apanii puujaa bhii aajamaanii hai aur kyaa zi.ndagaanii hai ek raajaa hai ... % %Part 2: % kal talak jo sach thaa vo ban gayaa fasaanaa tinakaa tinakaa bikharaa luTaa vo aashiyaanaa pal me.n ban ga_e saare apane begaane yaad bahut aate hai.n guzare zamaane bas tabaahii hai Gam ke saa_e hai.n suunii aa.Nkho.n me.n sirf paanii hai aur kyaa zi.ndagaanii hai
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.