giitaayan An Interface to ISB

ummiido.n kaa taaraa qisamat se - Eighteen Fifty Seven/ 1857 (1946)  

Lyrics: Anjum Pilibhiti | Music: Sajjad Hussain | Singer(s): Suraiya 
View in Nagari (Hindi)
ummiido.n kaa taaraa ummiido.n kaa taaraa qisamat se kuchh der chamak ke TuuT gayaa TuuT gayaa ghar-baar luTaa barabaad huye sayyaad chaman ko luuT gayaa luuT gayaa jab tum hii nahii.n to duniyaa me.n jiine kii Kushii bhii ko_ii nahii.n ko_ii nahii.n ab aag lage yaa barf gire -2 aramaan bharaa dil TuuT gayaa TuuT gayaa ummiido.n kaa taaraa aaraam uThaaye the jitane Gam unase bhii jyaadaa hamako mile naazuk thaa bahot chhaalaa dil kaa -2 ek Thes lagii aur phuuT gayaa phuuT gayaa ummiido.n kaa taaraa
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.