giitaayan An Interface to ISB

nafarat se jinhe.n tum ... zamaane kii aa.Nkho.n ne - Ek Baar Muskuraa Do (1972)  

Lyrics: S H Bihari | Music: O P Nayyar | Singer(s): Rafi 
View in Nagari (Hindi)
nafarat se jinhe.n tum dekhate ho tum maarate ho jinhe.n Thokar kyaa un pe guzaratii hai dekho ek baar kabhii ghaayal ho kar zamaane kii aa.Nkho.n ne dekhaa hai yaaro.n sadaa apanii duniyaa me.n aisaa nazaaraa kabhii unako phuulo.n se puujaa hai sabane kabhii jinako logo.n ne patthar se maaraa zamaane kii aa.Nkho.n ... pise na jahaa.N tak patthar pe me.nhadii kisii bhii tarah ra.ng laatii nahii.n hai hazaaro.n jagah Thokare.n khaa na le jab tak ko_ii zindagii muskaraatii nahii.n hai binaa khud mare kisako jannat milii hai binaa dukh sahe kisane jiivan sa.Nvaaraa zamaane kii aa.Nkho.n ... bha.Nvar se jo ghabaraa ke piichhe haTe hai.n Dubo dii hai maujo.n ne unakii hii naiyaa jo tuufaa.N se Takaraa ke aage ba.Dhe hai.n binaa ko_ii maa.Njhii binaa hii khiva_iiyaa kabhii na kabhii to kahii.n na kahii.n par hameshaa hii unako milaa hai kinaaraa zamaane kii aa.Nkho.n ... yahaa.N aadamii ko sabak dostii kaa sikhaate hu_e jo lahuu me.n nahaayaa masiihaa banaa aur gaa.Ndhii banaa vo hazaaro.n dilo.n me.n yahaa.N ghar banaayaa unhii.n kii banii hai.n yahaa.N yaadaGaare.n -2 unhii.n kaa zamaane me.n chamakaa sitaaraa zamaane kii aa.Nkho.n ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.