giitaayan An Interface to ISB

man bhaavan ke ghar jaae gorii - Chori Chori (1956)  

Lyrics: Shailendra | Music: Shankar-Jaikishan | Singer(s): Lata, Asha 
View in Nagari (Hindi)
man bhaavan ke ghar jaae gorii ghuu.NghaT me.n sharamaae gorii ba.ndhii rahe ye pyaar kii Dorii hame.n naa bhulaanaa - 4 1) bachapan ke din khel ga.nvaae aa_ii javaanii to baalam aae tere aa.ngan ba.ndhe badhaaii gorii kyo.n nainaa chhalakaae gorii ba.ndhii rahe ye pyaar kii Dorii... 2) is duniyaa kii riit yahii hai haath jo thaame miit vahii hai ab ham to hue paraae gorii phir tere sa.ng jaae gorii, ba.ndhii rahe ... 3) mastii bhare saavan ke jhuule tujhako kasam hai jo tuu bhuule ab ke jab vaapas aae gorii god bharii le aae gorii, ba.ndhii rahe ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.