giitaayan An Interface to ISB

aa_ii ajal ai zindagii Gam kaa zamaanaa Tal gayaa - Elan (1947)  

Lyrics: Zia Sarhadi | Music: Naushad | Singer(s): Amirbai 
View in Nagari (Hindi)
haa.N aa_ii ajal ai zindagii Gam kaa zamaanaa Tal gayaa ab kyaa gire.ngii bijaliyaa.N jab aashiyaa.N hii jal gayaa aa o shab-e-Gam aaye jaa saare jahaa.N par chhaaye jaa ab tuu hii tuu rah jaayegii ab kal na haragiz aayegii wo din jo dushman thaa teraa wo zindagii kaa din meraa wo din hameshaa ke liye haa.N din wahii din bhar gayaa Gam kaa zamaanaa Tal gayaa is umr kaa awwalapanaa is umr kaa aaKirapanaa ek jhuuTh kaa darabaar hai baatilapanaa zaahilapanaa ye zindagii kuchh bhii nahii.n -2 naaTak kaa jhuuThaa khel hai jab tak chalaa so chal gayaa Gam kaa zamaanaa Tal gayaa haa.N aa_ii ajal ai zindagii Gam kaa zamaanaa Tal gayaa ab kyaa gire.ngii bijaliyaa.N jab aashiyaa.N hii jal gayaa
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.