giitaayan An Interface to ISB

jal jal ke shamaa kii tarah fariyaad na karanaa - Fariyaadi (1953)  

Lyrics: Muzaffar Orkazai | Music: B N Baali | Singer(s): Rafi 
View in Nagari (Hindi)
jal jal ke shamaa kii tarah fariyaad na karanaa mai.n yaad bhii aa_uu.N to mujhe yaad na karanaa mushkil hai bahut pyaar kii duniyaa ko basaanaa bedard zamaane kaa tariikaa hai puraanaa do pyaar bhare dil kabhii aabaad naa karanaa mai.n yaad bhii aa_uu.N ... aakaash kii choTii pe mahal hamane banaayaa duniyaa se bahut duur jahaa.N apanaa basaayaa qismat ne magar chaahaa hame.n shaad na karanaa mai.n yaad bhii aa_uu.N ... ab apane Kyaalo.n me.n mujhe tum na basaanaa bhuule se kabhii tum mere sapano.n me.n na aanaa gar dil me.n uThe dard to fariyaad na karanaa mai.n yaad bhii aa_uu.N ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.