giitaayan An Interface to ISB

kisii ne sach hii kahaa hai - Ghaat (2000)  

Lyrics: Sameer | Music: Annu Malik | Singer(s): Shabbir Kumar, Om Puri, Tabu, Manoj Bajpai, Karsan Sagaria 
View in Nagari (Hindi)
sunaa hai insaan ke duHkh dard kaa ilaaj milaa hai kyaa buraa hai agar ye afavaah u.Daa dii jaa_e kisii ne sach hii kahaa hai vo bhuukh se maraa thaa fuTapaath pe pa.Daa thaa chaadar uThaa ke dekhaa to peT pe likhaa thaa saare jahaa.n se achchhaa saare jahaa.n se achchhaa hindustaa.n hamaaraa hindustaa.n hamaaraa bhuukh lage to chaa.Nd bhii roTii nazar aataa hai aage hai zamaanaa phir bhii bhuukh piichhe piichhe saarii duniyaa kii baate.n do roTiyo.n ke niiche kisii ne sach hii kahaa ... maa.N patthar ubaalatii rahii ka.Daahii me.n raat bhar bachche fareb khaa kar chaTaa_ii par so ga_e chama.De kii jhopa.Diyaa me.n aag lagii bhaiyaa barakhaa na bujhaa_e bujhaa_e rupaiyaa kisii ne sach hii kahaa ... vo aadamii nahii.n muqammal bayaa.n hai maathe pe usake choT kaa gaharaa nishaa.n hai ik din milaa thaa mujhako chitha.Do.n me.n vo maine jo puuchhaa naam kahaa hindustaan hai hindustaan hai cha.n log duniyaa me.n nasiib leke aate hai.n baakii bas aate hai.n aur yuu.n hii chale jaate hai.n jaane kab aate hai.n aur jaane kab jaate hai.n kisii ne sach hii kahaa ... ye bastii un logo.n kii bastii hai jahaa.n har gariib kii hastii ek ek saa.Ns lene ko tarasatii hai in uu.Nchii imaarato.n me.n ghir gayaa aashiyaanaa meraa ye amiir mere hisse kaa suuraj bhii khaa ga_e bhuukh lage to chaa.Nd ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.