giitaayan An Interface to ISB

mausam hai aashiqaanaa - Paakeezaah (1971)  

Lyrics: Kamal Amrohi | Music: Ghulam Mohammad | Singer(s): Lata 
View in Nagari (Hindi)
mausam hai aashiqaanaa ai dil kahii.n se unako aise me.n Dhuu.NDh laanaa kahanaa ke rut javaa.n hai, aur ham taras rahe hai.n kaalii ghaTaa ke saae, birahan ko Da.Ns rahe hai.n Dar hai na maar Daale (saavan kaa kyaa Thikaanaa) - (2) mausam hai ... suuraj kahii.n bhii jaae, tum par na dhuup aae tumako pukaarate hai.n, in gesuo.n ke saae aa jaao mai.n banaa duu.N (palako.n kaa shaamiyaanaa) - (2) mausam hai ... firate hai.n ham akele, baa.nho.n me.n koii le le aakhir koii kahaa.N tak, tanahaaiyo.n se khele din ho gae hai.n zaalim (raate.n hai.n qaatilaanaa) - (2) mausam hai ... ye raat ye khaamoshii ye Kvaab se nazaare jugnuu hai.n yaa zamii.n par, utare hue hai.n taare betaab merii aa.Nkhe.n (madahoshh hai zamaanaa) - (2) mausam hai ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.