giitaayan An Interface to ISB

ko_ii din zindagii ke gunagunaa kar hii bitaataa hai - Gunjan (1948)  

Lyrics: Saraswati Kumar 'Deepak' | Music: Ashok Ghosh | Singer(s): Mukesh 
View in Nagari (Hindi)
ko_ii din zindagii ke gunagunaa kar hii bitaataa hai ko_ii paa kar ke khotaa hai ko_ii kho kar ke paataa hai hamaarii zindagii bhii kyaa kabhii ha.Nsanaa kabhii ronaa jise ham apanaa kahate hai.n vo hamase duur jaataa hai ummiide.n luT ga_ii.n jisakii tasavvur chhin gayaa jisakaa vo kashtii aap hii gahare samandar me.n Dubaataa hai agar dil ho gayaa viiraa.N karuu.Ngaa maut se ulfat kisii bad{}haal par ab kaun do aa.Nsuu bahaataa hai kisii ke chain se aaraam se kyaa vaastaa apanaa na ko_ii saath detaa hai na ko_ii paas aataa hai
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.