giitaayan An Interface to ISB

rah\-rah ke teraa dhyaan rulaataa hai kyaa karuu.N - Gajre (1948)  

Lyrics: G S Nepali | Music: Anil Biswas | Singer(s): Suraiya 
View in Nagari (Hindi)
rah-rah ke teraa dhyaan rulaataa hai kyaa karuu.N har suu gar mujhako tuu nazar aataa hai kyaa karuu.N rah-rah ke teraa dhyaan terii samajh me.n bhii nahii.n aataa hai meraa haal -2 merii zabaa.N pe bhii nahii.n aataa hai kyaa karuu.N -2 rah-rah ke teraa dhyaan ( ye mujhako kyaa hu_aa hai mujhe Kud Kabar nahii.n mujhe Kud Kabar nahii.n ) -2 har waqt ko_ii yaad hii aataa hai kyaa karuu.N -2 rah-rah ke teraa dhyaan hairaa.N huu.N jab bhii aa.Nkh se aa.Nsuu Tapakataa hai -2 dil kii lagii ko aur ba.Dhaataa hai kyaa karuu.N -2 rah-rah ke teraa dhyaan
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.