giitaayan An Interface to ISB

aatii kyaa kha.nDaalaa - Ghulaam (1998)  

Lyrics: Nitin Raikwar | Music: Jatin-Lalit | Singer(s): Aamir Khan, Alka Yagnik 
View in Nagari (Hindi)
ai, kyaa bolatii tuu ai, kyaa mai.n boluu.N sun - sunaa - aatii kyaa kha.nDaalaa kyaa karuu.N, aake mai.n kha.nDaalaa ghuume.nge, phire.nge, naache.nge, gaaye.nge aish kare.nge aur kyaa ai, kyaa bolatii tuu ... barasaat kaa siizan hai kha.nDaalaa jaake kyaa karanaa barasaat ke siizan me.n hii to, mazaa hai merii mainaa bhiiguu.Ngii mai.n, sad.rii khaa.Nsii ho jaayegii mujhako chaddar leke jaayen.ge, paagal samajhii kyaa mujhako kyaa karuu.N, samajh me.n aaye na kyaa kahuu.N, tujhase me.n jaanuu.N na are itanaa tuu kyo.n soche, mai.n aage tuu piichhe bas ab nikalate aur kyaa ai, kyaa bolatii tuu ... lonavalaa me.n chikkii khaaye.nge, #waterfall# pe jaaye.nge kha.nDaalaa ke #guard# ke uupar, foTuu khii.nch ke aaye.nge haa.N bhii karataa, na bhii karataa, dil meraa diivaanaa dil bhii saalaa, #party# badale, kaisaa hai zamaanaa #phone# lagaa, tuu apane dil ko zaraa puuchh le, aakhir hai kyaa majaraa are pal me.n phisalataa hai, pal me.n sambhalataa hai #confuse# karataa hai bas kyaa ai, kyaa bolatii tuu ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.