giitaayan An Interface to ISB

raate.n ga_ii.n baate.n ga_ii.n ... aur tujhase kuchh ho naa ho - Heraa Pheri (2000)  

Lyrics: Sameer | Music: Annu Malik | Singer(s): Abhijit, Hariharan, Vinod Rathor 
View in Nagari (Hindi)
raate.n ga_ii.n baate.n ga_ii.n jo bhii hu_aa bhuul jaa ab tuu na_e parivesh me.n duniyaa na_ii phir basaa suuraj nayaa nikale agar aasaan ho usakaa safar kaaTe terii vaaris jise vo fasale.n bo sakataa hai aur tujhase kuchh ho naa ho ye tujhase ho sakataa hai hambaa lilaa hambaa lilo hambaa lile chukumaa tukumaa tukumaa chukumaa chukumaa chile aaj ham hai.n kal ham nahii.n kal kuchh bhii kho sakataa hai pyaar de pyaar le ye ek daulat hai tuu sabako de sakataa hai aur tujhase kuchh ho ... sach kah rahaa hai ai bekhabar kar le meraa aitabaar ye zi.ndagii nemat Kudaa kii milatii hai bas ek baar yuu.n hii ise khonaa nahii.n phir baad me.n ronaa nahii.n saa.Nse.n terii hai.n ik la.Dii inako piro sakataa hai aur tujhase kuchh ho ... ba.ngalo.n.n me.n hai mahalo.n me.n hai par nii.nd aatii nahii.n daulat kaa ik saagar milaa par pyaas jaatii nahii.n bhuukhaa hai jo badanaam hai sa.ntoSh me.n aaraam hai gar chain ho dil me.n tere dharatii pe so sakataa hai aur tujhase kuchh ho ... ye aadamii us aadamii jaisaa nahii.n hai to kyaa are kuchh karane kii taaqat to hai paisaa nahii.n hai to kyaa jisane kahaa sach hii kahaa ye vaqt naa ik saa rahaa kismat kahe mehanat se tuu har daag dho sakataa hai aur tujhase kuchh ho ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.