giitaayan An Interface to ISB

zulm karane se buraa hai zulm sahan karanaa ... bas pyaar rahegaa - Hukoomat (1987)  

Lyrics: Verma Malik | Music: Laxmikant-Pyarelal | Singer(s): Alka Yagnik, Munna Aziz, Kavita Subramaniam 
View in Nagari (Hindi)
zulm karane se buraa hai zulm sahan karanaa Dar ke jiine se achchhaa hai saamane la.Dake maranaa naa zulm naa zaalim kaa adhikaar rahegaa duniyaa me.n kuchh rahegaa to bas pyaar rahegaa uThaa ke mil ke nii.nd se tum sabako jagaa do is haath se us haath ko tum saath milaa do sachchaa_ii se tum jhuuTh kii buniyaad hilaa do aur vaqt kii aavaaz se aavaaz milaa do janataa ke haath me.n hii ikhtiyaar rahegaa duniyaa me.n kuchh rahegaa ... naa aadamii kaa aadamii gulaam rahegaa naa siinaa jorii aur naa i.ntakaam rahegaa bure kaa naa aaGaaz naa a.njaam rahegaa jo baakii rahaa to Kudaa kaa naam rahegaa Kudaa kaa naam rahaa to sa.nsaar rahegaa duniyaa me.n kuchh rahegaa ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.