giitaayan An Interface to ISB

kaun jiiwan me.n mere samaaye jaa rahaa hai - Hamara Sansar (1945)  

Lyrics: Ramesh Gupta | Music: Gobindram | Singer(s): Zohra Bai 
View in Nagari (Hindi)
kaun jiiwan me.n mere samaaye jaa rahaa hai -2 kaun man pe mere chhaaye jaa rahaa hai kaun jiiwan me.n mere samaaye jaa rahaa hai kaun barakhaa kii kaalii-kaalii raat me.n -2 ban ke saayaa chal rahaa hai saath me.n -2 kaun diipak ban ke raah dikhalaa rahaa hai kaun jiiwan me.n mere samaaye jaa rahaa hai -2 ko_ii saathii na thaa ko_ii miit naa thaa -2 mere suunii viinaa me.n ko_ii giit naa thaa -2 kaun miiThe suro.n se ye gaaye jaa rahaa hai -2 kaun man ko mere lubhaaye jaa rahaa hai -2 kaun jiiwan me.n mere samaaye jaa rahaa hai -2
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.