giitaayan An Interface to ISB

vatan vaalo.n ... taaki jiitaa rahe apanaa hindustaa.n - Indian (2001)  

Lyrics: Anand Bakshi | Music: Anand Raj Anand | Singer(s): Roop Kumar Rathod, Chorus 
View in Nagari (Hindi)
vatan vaalo.n vatan naa bech denaa ye dharatii ye gagan naa bech denaa shahiido.n ne jaan dii hai vatan ke vaaste shahiido.n ke kafan naa bech denaa dosto.n saathiyo.n ham chale de chale apanaa dil apanii jaa.n taaki jiitaa rahe apanaa hindustaa.n ham jiye ham mare is vatan ke li_e is chaman ke li_e taaki khilataa rahe gul hameshaa yahaa.n dosto.n saathiyo.n dosto.n se milo dosto.n kii tarah dushmano.n se milo dushmano.n kii tarah jiinaa kyaa maranaa kyaa buzadilo.n kii tarah kah rahaa ye vatan ye zamii.n aasamaa.n maa.N ne apane beTe diye naujavaa.n sochakar aur kyaa taaki jiitaa rahe ... maatR^i bhuumi kaa dil tuu nahii.n to.Danaa desh ke dushmano.n ko nahii.n chho.Danaa maranaa jiinaa tujhe is vatan ke li_e farz apanaa nibhaa de aman ke li_e naaz tujhape kare ye zamii.n aasamaa.n dete hai.n ye du_aa taaki jiitaa rahe ... desh ke naam apanii javaanii likhii ye javaanii hai kyaa zi.ndagaanii likhii bas yahaa.n tak kii hamane kahaanii likhii ab likho isake aage kii tum daastaa.n farz kar do adaa taaki jiitaa rahe ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.