giitaayan An Interface to ISB

mere dushman tuu merii dostii ko tarase - Aye Din Bahaar Ke (1966)  

Lyrics: Anand Bakshi | Music: Laxmikant-Pyarelal | Singer(s): Rafi 
View in Nagari (Hindi)
mere dil se sitam_gar tuune achchhii dillagii kii hai ki ban_ke dost apane dosto.n se dushmanii kii hai mere dushman tuu merii dostii ko tarase mujhe Gam denevaale tuu Khushii ko tarase tuu phuul bane patajha.D kaa, tujhape bahaar na aae kabhii merii hii tarah tuu ta.Dape, tujhako qaraar na aae kabhii ji_e tuu is tarah ki zindagii ko tarase itanaa to asar kar jaae.N merii vafaae.N o bevafaa ek roz tujhe yaad aae.N apanii jafaae.N o bevafaa pashemaa.N hoke roe, tuu ha.Nsii ko tarase tere gulashan se ziyaadaa viiraan koii viiraanaa na ho is duniyaa me.n koii teraa apanaa to kyaa, begaanaa na ho kisiikaa pyaar kyaa tuu beruKhii ko tarase
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.