giitaayan An Interface to ISB

shabanam kyuu.N niir bahaaye - Ishara (1943)  

Lyrics: D N Madhok | Music: Khurshid Anwar | Singer(s): Gauhar Sultaana 
View in Nagari (Hindi)
shabanam kyuu.N niir bahaaye -2 duniyaa soye aur ye roye jaaye shabanam kyuu.N niir bahaaye jaise niradhan ke rone par -2 ha.Nsate hai.n dhanavaan vaise shabanam ke rone par -2 kaliyo.n kii musakaan shabanam roye kaliyo.n kaa mu.Nh dhoye ( apanii jaan ga.Nvaa kar pagalii jag me.n phuul khilaaye ) -2 shabanam kyuu.N niir bahaaye -2 muurakh hai.n jo chaar gha.Dii ke -2 jiiwan par itaraate hai.n ha.nsate phuulo.n ko dekho jo -2 khilate hii murajhaate hai.n shabanam roye muurakh gaafil soye ( ro-ro ke shabanam is jhuuThe jag kaa bhed bataaye ) -2 shabanam kyuu.N niir bahaaye -2
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.