giitaayan An Interface to ISB

Kataa nahii.n ... a.ndhero.n ko chiir ke aaj roshanii ye chalii - I - Proud To Be An Indian (2003)  

Lyrics: Jay Verma | Music: Daboo Malik | Singer(s): Kunal Ganjawala 
View in Nagari (Hindi)
Kataa nahii.n merii kuchh Kataa nahii.n Kaamosh rah naa sakaa naa jaane kyo.N pataa nahii.n ab magar ye puuraa hu_aa hai qahar apanii hai shaam-o-sahar bhiigii hai phir kyo.n nazar ( in hawaa_o me.n paa.Nv rakh kar ham aaj u.Dane lage haath ye jo uThe yahaa.N ka_ii Kaab ju.Dane lage ) -2 a.ndhero.n ko chiir ke aaj roshanii ye chalii apano.n ne girah khol dii duniyaa lage bhalii Kushiyaa.N barasatii hai.n yahaa.N sab dukh puraane lage yuu.N musakuraane kii chaah me.n kitane zamaane lage sahamii hu_ii muraade.n ka_ii pahanii hu_ii khoyaa hai saaraa jahaa.N kaisii ye berahamii hu_ii jii gaye dekhaa tujhe to ham jii gaye nazaro.n se chhuu ke tujhe hazaaro.n Gam sii gaye ( jism se aaj ruuh tak tujhame.n samaa jaaye.nge faasalo.n ko miTaa ke ham duniyaa basaa jaaye.nge ) -2 ( a.ndhero.n ko chiir ke aaj roshanii ye chalii apano.n ne girah khol dii duniyaa lage bhalii Kushiyaa.N barasatii hai.n yahaa.N sab dukh puraane lage yuu.N musakuraane kii chaah me.n kitane zamaane lage ) -3
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.