prem jaal me.n pha.ns ga_ii mai.n to
prem taal pe nach pa_ii mai.n to
prem nagar me.n ho ga_ii merii shaam
prem taal kaa de ke Thekaa
prem jaal premii ne phe.nkaa
aage jo bhalii kare.n raam
ha_iyaa ha_iyaa
are prem jaal me.n pha.ns ga_ii tuu to
prem taal pe nach pa_ii tuu to
prem nagar me.n ho ga_ii terii shaam
he he he he
prem taal kaa le ke Thekaa
prem jaal maine hii phe.nkaa
bhalii kare.nge terii raam
ha_iyaa ha_iyaa
terii tiikhii hai re nazari_aa
mai.n ho ga_ii re baa.nvari_aa
vaah
tuu thaam le mujh ko aa kar
ban jaa meraa saa.nvari_aa
are kyaa samajhaa hai tuu ne mujh ko
kar naa diyaa paagal jo tujh ko
badal diyo raanii tuu meraa naam
are prem taal kaa le ke Thekaa ...
tere nainaa hu_e sharaabii
merii ba.Dh ga_ii hai betaabii
tere ruup kii gaagar chhalakii
merii ho ga_ii shaam gulaabii
mai.n diivaanii ho ga_ii ab to
thaam le mujh ko chho.D de sab ko
bas itanaa saa kar de meraa kaam
he he he he
are prem taal kaa le ke Thekaa ...
|