%Part 1:
%
tujhako naa dekhuu.n jii ghabaraataa hai
dekhake tujhako dil ko mere chain aataa hai
ye kaisaa rishtaa hai kaisaa naataa hai
dekhake tujhako ...
har Gam uThaa luu.n tanhaa akelaa
tere li_e hai khushiyo.n kaa melaa
saaraa sa.nsaar duu.n jiivan bhii vaar duu.n
jitanaa kahe tuu utanaa mai.n pyaar duu.n
ye teraa mukha.Daa hii mujhako bhaataa hai
dekhake tujhako ...
tum mere ##daddy## tum merii maa.N ho
tum meraa dil ho tum merii jaa.n ho
bachapan kii Dor kaa ye dhaagaa to.D ke
##daddy## kabhii mujhe naa jaanaa chho.D ke
mere li_e tuu kitanaa dard uThaataa hai
dekhake tujhako ...
%
%Part 2:
%
rishtaa dilo.n kaa to.De na TuuTe
saa.Nso.n kii Dorii ba.ndh ke naa chhuuTe
jaa_oge kaise tum mujhako chho.D ke
janmo.n kaa naataa pal bhar me.n to.D ke
apano.n se aise ko_ii duur jaataa hai
dekhake tujhako ...
|