giitaayan An Interface to ISB

ham laakh chhupaa_e.n pyaar magar duniyaa ko - Jaan Tere Naam (1992)  

Lyrics: Rani Malik | Music: Nadeem-Shravan | Singer(s): Kumar Sanu, Asha 
View in Nagari (Hindi)
ham laakh chhupaa_e.n pyaar magar duniyaa ko pataa chal jaa_egaa lekin chhup chhup ke milane se milane kaa mazaa to aa_egaa tum kitane bhole bhaale ho har baat ko khel samajhate ho mai.n jab duniyaa kii kahataa huu.N tum apane dil kii kahatii ho yah pyaar hamaaraa rab jaane ( jaane kyaa ra.ng laa_egaa ) -2 lekin chhup chhup ke ... ye mast havaa mahakii ye fizaa aa.Nkho.n me.n nashaa saa chhaataa hai ik ra.ng Kushii kaa aataa hai ik ra.ng Kushii kaa jaataa hai ye miiThaa miiThaa dard mujhe din raat yuu.N hii ta.Dapaa_egaa lekin chhup chhup ke ... tum in baa.Nho.n ke ghere me.n aa.Nkhe.n band karake so jaa_o kal kyaa hogaa ye bhuul ke tum miiThe sapano.n me.n kho jaa_o mai.n rakhavaalaa is tan man kaa jo hogaa dekhaa jaa_egaa lekin chhup chhup ke ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.