giitaayan An Interface to ISB

raat suhaanii jaag rahii hai dhiire\-dhiire chupake\-chupake - Jigri Dost (1969)  

Lyrics: Anand Bakshi | Music: Laxmikant-Pyarelal | Singer(s): Rafi, Suman 
View in Nagari (Hindi)
raat suhaanii jaag rahii hai dhiire-dhiire chupake-chupake chorii-chorii ho prem kahaanii jaag rahii hai dhiire-dhiire ... chal rahe hai.n jaaduu tham gayaa zamaanaa dil churaa rahaa hai ye samaa.N suhaanaa paalakii chaman me.n phuulo.n kii utaar ke ye bahaar gaa rahii hai giit pyaar ke o aur javaanii jaag rahii hai dhiire-dhiire ... chaa.Nd kar rahaa hai pyaar ke ishaare ye hamaare nayanaa ban ga_e hai.n taare nii.nd ne na aane kii uThaa_ii hai qasam o nii.nd kaise aa_e man ke dvaar pe sanam o priit diivaanii jaag rahii hai dhiire-dhiire ... ek pahelii tum mujhase puuchho aa ga_e kahaa.N ham ye kisii se puuchho ye zamiin lag rahii hai aasamaan sii dil kii dha.Dakano.n me.n pa.D ga_ii hai taan sii o zindagaanii jaag rahii hai dhiire-dhiire ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.