la : din saaraa guzaaraa tore a.Nganaa
ab jaane de mujhe more sajanaa
mere yaar shab-ba-Kair -2
o mere yaar shab-ba-Kair
ra : aasaan hai jaanaa mahafil se
o kaise jaa_oge nikal kar dil se
mere yaar shab-ba-Kair ...
o dilabar dil to kahe terii raaho.n ko rok luu.N mai.n
aa_ii birahaa kii raat ab batalaa de kyaa karuu.N mai.n -2
yaad aa_e.Ngii ye baate.n tumhaarii
ta.Dapegii mohabbat hamaarii
mere yaar shab-ba-Kair ...
la : mai.n dharatii tuu aasamaa.N merii hastii pe chhaa gayaa tuu
siine ke surK baaG me.n dil banake aa gayaa tuu
ab rahane de nigaaho.n me.n mastii
o basaa lii maine Kvaabo.n kii bastii
mere yaar shab-ba-Kair ...
ra : ye cha.nchal ye hasiin raat haay kaash aaj naa jaatii
har din ke baad raat hai ik din to Thahar jaatii
ko_Ii hamase bichha.D ke na jaataa
jiite kaa mazaa aa jaataa
mere yaar shab-ba-Kair ...
|