giitaayan An Interface to ISB

merii tasaviir lekar kyaa karoge tum - Kala Samundar (1962)  

Lyrics: Anand Bakshi | Music: N Dutta | Singer(s): Rafi, Asha, Balbir 
View in Nagari (Hindi)
ra: merii tasaviir lekar kyaa karoge tum merii tasaviir lekar merii tasaviir lekar kyaa karoge tum merii tasaviir lekar merii tasaviir lekar, dil-e-dil jeer lekar luTii jaagiir lekar, jalii taqadiir lekar kyaa karoge kyaa karoge tum merii tasaviir lekar merii tasaviir lekar kyaa karoge tum merii tasaviir lekar aa: chale ho ab na jaane kab miloge sabab koii banegaa tab miloge na jiine kaa na marane kaa bahaanaa kaTegaa kaise fursat kaa zamaanaa hame.n de jaao ek apanii nishaanii ba.Dii hogii tumhaarii maharabaanii sukuun kii to koii tadabiir hogii hamaare paas ye tasaviir hogii ra: merii tasaviir bhii mujhasii kahaa.N hai ke ye bejaan hai ye bezubaan hai tumhaare kaam ye na aa sakegii tumhaaraa dil na ye bahalaa sakegii junuun me.n to girahabaan chaak hogaa ke parvaanaa to jal ke Kaak hogaa tumhaare saamane jab ham no ho.nge ye Gam tasaviir se to kam na ho.nge yuu.Nhii ta.Dapoge tum aahe.n bharoge kyaa karoge tum merii tasaviir lekar merii tasaviir lekar kyaa karoge tum merii tasaviir lekar aa: bajah hai baat ye ham maanate hai.n na bahalegii tabiiyat jaanate hai.n kare.ngii hasarate.n fariyaad aksar ke tum aayaa karoge yaad aksar Gam-e-furqat na hogaa yuu.N gavaaraa magar tho.Daa saa to hogaa sahaaraa judaaii me.n mulaaqaate.n kare.nge ke ham tasaviir se baate.n kare.nge ra: Kayaalo.n me.n basaa lo merii suurat merii tasaviir kii hai kyaa zaruurat merii yaado.n ko samajho yaadagaare.n Kizaa.n me.n bhii rahe.ngii phir bahaare.n samay Kvaabo.n kaa hotaa hai suhaanaa kabhii aanaa kabhii mujhako bulaanaa hame.n ek duusare kii diid hogii nihaago.n kii dilo.n kii iid hogii na maanoge to ro-ro ke maroge kyaa karoge tum merii tasaviir lekar merii tasaviir lekar kyaa karoge tum merii tasaviir lekar aa: bahaane par banaate ho bahaanaa diivaane ho banaate ho diivaanaa Kudaa jaane tumhe.n inakaar kyuu.N hai hame.n phir bhii tumhii.n se pyaar kyuu.N hai sitam ke tiir ham pe chho.Date ho na aisii bevafaa be-tiir hogii bhalii tum se to ye tasaviir hogii ra: guzaarish aapake diladaar kii hai vajah ek aur bhii inakaar kii hai zamaane kii nigaaho.n se bachaake ise tum laakh rakhoge chhupaake kisii din dekh hii legaa zamaanaa o, ba.Daa mashahuur hogaa ye fasaanaa jo logo.n kii zubaa.n tak baat pahu.Nche to phir jaane kahaa.N tak baat pahu.Nche kaho kyaa pyaar ko rusavaa karoge kyaa karoge tum merii tasaviir lekar merii tasaviir lekar kyaa karoge tum merii tasaviir lekar aa: hame.n manzoor ye rusvaaiyaa.N hai.n ke inase bhii burii tanahaaiyaa.N hai.n ra: muhabbat ke nahii.n dastuur aise hame.n charche nahii.n manzoor aise aa: vafaa me.n log luTaate hai.n jaane.n tumhe.n aashiq bhalaa ham kaise maane.n ra: shubhaa ho ishq me.n to imtehaa.n lo merii tasaviir na lo merii jaa.n lo kaho jaane-vafaa ab kyaa kahoge kyaa karoge tum meri tasaviir lekar meri tasaviir lekar... ra: zubaa.n kyuu.N ruk ga_ii hai ho, nigaah kyuu.N jhuk ga_ii hai ajii ghabaraa ga_e kyaa kaho sharmaa ga_e kyaa abhii hai raat baqii abhii hai baat baqii abhii se haar baiThe dil-o-jaa.n vaar baiThe nayaa a.ndaaz koii na_ii parvaaz koii labo.n ko sii liyaa kyaa zahar pii liyaa kyaa chale taqaraar aage chalo sarakaar aage bane tasaviir kyaa baiThe rahoge kyaa karoge tum merii tasaviir lekar merii tasaviir lekar merii tasaviir lekar
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.