giitaayan An Interface to ISB

aavaaz do ham ek hai.n, ham ek hai.n - (Non-Film)  

Lyrics: Jaan Nisar Akhtar | Music: Khayyam | Singer(s): Rafi, chorus 
View in Nagari (Hindi)
ek hai apanii zamii.n, ek hai apanaa gagan ek hai apanaa jahaa.N, ek hai apanaa vatan apane sabhii sukh ek hai.n, apane sabhii Gam ek hai.n aavaaz do, aavaaz do ham ek hai.n, ham ek hai.n koras: aavaaz do, aavaaz do ham ek hai.n, ham ek hai.n ye vaqt khone kaa nahii.n, ye vaqt sone kaa nahii.n jaago vatan Katare me.n hai, saaraa chaman khatare me.n hai phuulo.n ke chahare zard hai.n, zulfe.n fizaa kii gard hai.n umdaa huaa tuufaan hai, narave (naraGe???) me.n hi.ndustaan hai dushman se nafarat farz hai, ghar kii hifaazat farz hai bedaar (???) ho bedaar ho, aamaadaa-e-paigaar ho (paikaar???) koras: aavaaz do, aavaaz do ham ek hai.n, ham ek hai.n ye hai himaalaa kii zamii.n, taaj-o-aja.ntaa kii zamii.n sa.ngam hamaarii aan hai, chittau.D apanii shaan hai gulmarg kaa mahakaa chaman, jamunaa kaa taT gokul kaa ban ga.ngaa ke dhaare apane hai.n, ye sab hamaare apane hai.n kaha do koii dushman nazar, uThe na bhuule se idhar kah do ke ham bedaar hai.n, kah do ke ham tayyaar hai.n koras: aavaaz do, aavaaz do ham ek hai.n, ham ek hai.n uTho javaanaa.n-e-vatan, baa.Ndhe hue sar se kafan uTho daKan kii or se, ga.ng-o-jaman kii or se pa.njaab kii dil se uTho, sataluj kii saahil se uTho mahaaraashhTra kii khaak se, dillii kii arz-e-paak se ba.ngaal se gujaraat se, kashmiir ke baagaat se nefaa se raajasthaan se, purKaa.n ke hi.ndustaan se koras: aavaaz do, aavaaz do ham ek hai.n, ham ek hai.n ham ek hai.n, ham ek hai.n, ham ek hai.n
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.