giitaayan An Interface to ISB

morii binatii suno bhagavaan - Taaj (1956)  

Lyrics: Rajinder Krishan | Music: Hemant Kumar | Singer(s): Rafi 
View in Nagari (Hindi)
aa~ morii binatii suno bhagavaan, ab morii binatii suno bhagavaan aaj merii TuuTii biinaa me.n phir se Daaro praaN na maa.Nguu yah mahal-khazaane naa maa.Nguu yah taaj aaj bhare darabaar me.n svaamii rakhiyo merii laaj raagi ko bas saat suro.n kaa daataa de varadaan ab morii binatii suno bhagavaan ... suuraj kii raftaar badal de, maan tuu rakh le meraa jab tak TuuTaa taar na bole, jag me.n rahe a.Ndheraa shabanm se nikale a.Ngaare Daal-Daal jal jaaye kaa.NTo se bhar jaaye bagiyaa, retii phuul khilaaye jis jag me.n sa.ngiit nahii.n vah ho jaaye shamashaan vah ho jaaye shamashaan (4)
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.