priit ke ba.ndhan me.n
la : un par kaun kare jii vishvaas -2
ki_e bha.Nvaro.n kaa bhes phire kaliyo.n ke des
kare rasiyaa jo ghar-ghar vilaas
un par kaun kare ...
ra : o ye to jug-jug kii hai pyaas -2
jise bha.Nvaraa bujhaa_e kalii-kalii paas aa_e
kare puurii adhuurii jo aas
ye to jug-jug kii ...
la : ras ke lobhii chain na paa_e.N ulaTe apanii pyaas ba.Dhaa_e.N
ik pyaalii se jo priit lagaa_e.N janam-janam kii pyaas bujhaa_e.N
jaise dharatii aur aakaash o jaise dharatii aur aakaash
jab dono.n mile to saarii sR^iShTi hile
chhaa_e patajha.D me.n bhii madhumaas
un par kaun kare ...
ra : suuraj hai ek usakii kiraNe.n hazaar hai.n
sarajan haaraa hai use kaN-kaN se pyaar hai
ba.ndhan me.n priit ke kab vo laachaar hai
vo kamalinii ke man kaa si.ngaar hai kare ghar-ghar me.n vo prakaash -2
usakaa hR^iday vishaal usame.n navayug kii jvaal
nav-jiivan bharii usakii shvaa.ns
ye to jug-jug kii ...
|